Thursday, June 19, 2014

yaadeins

Ek wo waqt th Ek ye waqt hai
AAWAZ ke beech Ajeeb sa sannata hai sabhi oor

Kbhi tanhaiyoon k liye waqt nikalte the
aab Tanhaiyoon se waqt nikalna chahte hai

Kbhi aankhen khuti thi unki aawaz se
Aab un aawazoon ko sunne k liye khuli aankh se sote hai

Wo waqt tha jb galtiyoon pe sunane wale saath the
Aab sunane waalon ki un galtiyoon par gunjaish kahi gum hai

Ek waqt tha jab khane ka koi waqt nhi tha par bhookh har waqt thi
aab khane ka tym to hai par kambhakt wo mastani bhukh nhi

Kabhi aanjani jagahoon pe bhi sab taraf apna pan tha
Aab apni jagah bhi aanjani lagti hai

Kabhi khel maaje karne ke liye roz khelte the
Aaj zindagi k khel mei khel k liye waqt nhi

Kabhi party karne ka na tym aur na plan hota tha paar maaja jaam kar hota tha
aab party hai plan par party mei wo jaan nhi

Kabhi kisi ko sab tarah se jaante the
Aab sab ko jaane ki sooch hi gayab lagti  hai

Kabhi bina bole saari baatein ho jaati thi 
Aab bolne k liye bhi log dhundte hai

Wo waqt kuch aur tha ye waqt kuch aur hai
Par kambhakth ye yaadein hai
Jo aaj bhi kisi taar se hume joodti hai
Tumhari yaad dilati hai 
Aur in lafzoon ko mei sab bol jaati hai
"Yaadein yaad aati hai
baatein bhul jaati hai"