Sunday, May 4, 2014

meri patang

patang tha dor thi
uddta tha main aashmaan mein
bina wajah bina fikar
gotee lagata chumta dharti aurambar ko

fir aayi wo din suhani
jab kisi ne meri door thami
lagi meri aazadi aur manmani
pe kisi ke nigrani

main ghabraya main chillaya
fir main hawa mein apni pehli taan tani
tab maine kahi apni kadar pehchani
unn hatho ne di mujhe nyi jindagani

par aadat se lachar
maine ki maanmani
fir apni door kash ke taani
choot gaya bandhan se

par saath le aaya khoon bhari nishani
meri door kr manjha se kaat gaya
haath uska
aur chali gyi meri taan

fir ho gaya main yuhi
bina kisi k saath
udd raha hu yuhi
bas leki uski aash

No comments:

Post a Comment